Ambe Tu Hai Jagdambe Kaali,Jai Durge Khappar Waali।
Tere Hi Gun Gaayen Bhaarti,O Maiya Hum Sab Utaaren Teri Aarti ॥
Tere Bhakt Jano Pe Mata,Bheer Padi Hai Bhaari।
Daanav Dal Par Toot Pado Maa,Karke Singh Sawaari ॥
Sau Sau Singhon Se Tu Balshaali,Ashta Bhujaaon Wali।
Dukhiyon Ke Dukhde Nivaarti,O Maiya Hum Sab Utaaren Teri Aarti ॥
Maa Bete Ka Hai Is Jag Mein,Bada Hi Nirmal Naata।
Poot Kapoot Sune Hain Par,Mata Na Suni Kumata ॥
Sab Par Karuna Darsaane Waali,Amrit Barsaane Waali।
Dukhiyon Ke Dukhde Nivaarti,O Maiya Hum Sab Utaaren Teri Aarti ॥
Nahin Maangte Dhan Aur Daulat,Na Chaandi Na Sona।
Hum To Maange Maa Tere Man Mein,Ik Chhota Sa Kona ॥
Sabki Bigdi Banaane Waali,Laaj Bachaane Waali।
Satiyon Ke Sat Ko Sanwaarti,O Maiya Hum Sab Utaaren Teri Aarti ॥
Ambe Tu Hai Jagdambe Kaali,Jai Durge Khappar Waali।
Tere Hi Gun Gaayen Bhaarti,O Maiya Hum Sab Utaaren Teri Aarti ॥
॥ Maa Kaali Aarti Sampoornam ॥

