Mahakali Mata Aarti

Mahakali Mata Aarti

Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva।Haath Jod, Tere Dwaar Khade॥

Paan Supaari, Dhwaja, Naariyal।Le Jwaala Teri Bhent Dhare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Sun Jagdambe, Kar Na Vilambe।Santan Ke Bhandaar Bhare॥

Santan Pratipaali, Sada Khushhaali।Maiya Jai Kaali Kalyaan Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Buddhi Vidhaata, Tu Jag Maata।Mera Kaaraj Siddh Kare॥

Charan Kamal Ka Liya Aasara।Sharan Tumhaari Aan Pade॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Jab-Jab Bheer Padi Bhaktan Par।Tab-Tab Aay Sahaay Kare॥

Baar-Baar Tain Sab Jag Mohayo।Taruni Roop Anoop Dhare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Maata Hokar Putra Khilaave।Kahin Bhaarya Bhog Kare॥

Santan Sukhdaai Sada Sahaai।Sant Khade Jaikaar Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Brahma Vishnu Mahesh Sahasphan Liye।Bhent Den Tere Dwaar Khade॥

Atal Singhaasan Baithi Meri Maata।Sir Sone Ka Chhatra Phire॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Vaar Shanishchar Kumkum Barano।Jab Lunkad Par Hukum Kare॥

Khadag Khappar Trishool Haath Liye।Raktabeej Ko Bhasm Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Shumbh Nishumbh Ko Kshan Mein Maare।Mahishasur Ko Pakad Dale॥

Aadit Vaari Aadi Bhavaani।Jan Apne Ka Kasht Hare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Kupit Hoy Daanav Maare।Chand-Mund Sab Choor Kare॥

Jab Tum Dekhi Daya Roop Ho।Pal Mein Sankat Door Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Saumya Swabhaav Dharayo Meri Maata।Jan Ki Arj Kabool Kare॥

Saat Baar Ki Mahima Barni।Sab Gun Kaun Bakhaan Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Singh Peeth Par Chadhi Bhavaani।Atal Bhavan Mein Raaj Kare॥

Darshan Paaven Mangal Gaaven।Siddh Saadhak Teri Bhent Dhare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Brahma Ved Padhe Tere Dwaare।Shiv Shankar Dhyaan Dhare॥

Indra Krishna Teri Karen Aarti।Chanvar Kuber Dulaay Rahe॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Jai Janani Jai Maatu Bhavaani।Atal Bhavan Mein Raaj Kare॥

Santan Pratipaali Sada Khushhaali।Maiya Jai Kaali Kalyaan Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Spread the light of Sanatan Dharma

One shared paath can help another home begin its daily devotion.