Shani Dev Chalisa

Shani Dev Chalisa

॥ Doha ॥

Jai Ganesh Girija Suvan,Mangal Karan Kripal।

Deenan Ke Dukh Door Kari,Keejai Nath Nihal॥

Jai Jai Shri Shanidev Prabhu,Sunahu Vinay Maharaj।

Karahu Kripa He Ravi Tanay,Rakhahu Jan Ki Laaj॥

॥ Chaupai ॥

Jayati Jayati Shanidev Dayala।Karat Sada Bhaktan Pratipala॥

Chari Bhuja, Tanu Shyam Virajai।Mathe Ratan Mukut Chhavi Chhajai॥

Param Vishal Manohar Bhala।Tedhi Drishti Bhrikuti Vikarala॥

Kundal Shravan Chamacham Chamke।Hiy Maal Muktan Mani Damke॥

Kar Mein Gada Trishul Kuthara।Pal Bich Karain Arihin Sanhara॥

Pingal, Krishno, Chhaya Nandan।Yam, Konasth, Raudra, Dukhbhanjan॥

Sauri, Mand, Shani, Dash Nama।Bhanu Putra Pujahin Sab Kama॥

Ja Par Prabhu Prasann Hwain Jahin।Rankahun Raav Karain Kshan Mahin॥

Parvatahu Trin Hoi Niharat।Trinahu Ko Parvat Kari Darat॥

Raj Milat Ban Ramahin Deenhyo।Kaikeihun Ki Mati Hari Leenhyo॥

Vanhun Mein Mrig Kapat Dikhayi।Matu Janaki Gayi Churayi॥

Lakhanhin Shakti Vikal Karidara।Machiga Dal Mein Hahakara॥

Ravan Ki Gati-Mati Baurai।Ramchandra Son Bair Badhai॥

Diyo Keet Kari Kanchan Lanka।Baji Bajrang Bir Ki Danka॥

Nrip Vikram Par Tuhi Pagu Dhara।Chitra Mayur Nigali Gai Hara॥

Har Naulakha Lagyo Chori।Hath Pair Darvayo Tori॥

Bhari Dasha Nikrisht Dikhayo।Telahin Ghar Kolhu Chalvayo॥

Vinay Raag Deepak Mahn Keenhyon।Tab Prasann Prabhu Hwai Sukh Deenhyon॥

Harishchandra Nrip Nari Bikani।Aaphun Bhare Dom Ghar Pani॥

Taise Nal Par Dasha Sirani।Bhoonji Meen Kood Gai Pani॥

Shri Shankarhin Gahyo Jab Jai।Parvati Ko Sati Karai॥

Tanik Vilokat Hi Kari Reesa।Nabh Udi Gayo Gaurisut Seesa॥

Pandav Par Bhai Dasha Tumhari।Bachi Draupadi Hoti Ughari॥

Kaurav Ke Bhi Gati Mati Maryo।Yuddh Mahabharat Kari Daryo॥

Ravi Kahan Mukh Mahn Dhari Tatkala।Lekar Koodi Paryo Patala॥

Shesh Dev-Lakhi Vinati Lai।Ravi Ko Mukh Te Diyo Chhudai॥

Vahan Prabhu Ke Saat Sujana।Jag Diggaj Gardabh Mrig Swana॥

Jambuk Singh Aadi Nakh Dhari।So Phal Jyotish Kahat Pukari॥

Gaj Vahan Lakshmi Grih Avain।Hay Te Sukh Sampatti Upjavain॥

Gardabh Hani Karai Bahu Kaja।Singh Siddhkar Raj Samaja॥

Jambuk Buddhi Nasht Kar Darai।Mrig De Kasht Pran Sanharai॥

Jab Avahin Prabhu Swan Sawari।Chori Aadi Hoy Dar Bhari॥

Taisahi Chari Charan Yah Nama।Swarn Lauh Chandi Aru Tama॥

Lauh Charan Par Jab Prabhu Avain।Dhan Jan Sampatti Nasht Karavain॥

Samta Tamra Rajat Shubh Kari।Swarn Sarv Sukh Mangal Bhari॥

Jo Yah Shani Charitra Nit Gavai।Kabahum Na Dasha Nikrisht Satavai॥

Adbhut Nath Dikhavain Leela।Karain Shatru Ke Nashi Bali Dheela॥

Jo Pandit Suyogya Bulvai।Vidhivat Shani Grah Shanti Karai॥

Peepal Jal Shani Divas Chadhavat।Deep Daan Dai Bahu Sukh Pavat॥

Kahat Ram Sundar Prabhu Dasa।Shani Sumirat Sukh Hot Prakasha॥

॥ Doha ॥

Path Shanishchar Dev Ko,Ki Hon Bhakt Taiyar।

Karat Path Chalis Din,Ho Bhavsagar Par॥

Spread the light of Sanatan Dharma

One shared paath can help another home begin its daily devotion.