Om Jai Surya Bhagwan,Jai Ho Dinkar Bhagwan।
Jagat Ke Netra Swaroopa,Tum Ho Trigun Swaroopa।
Dharat Sab Hi Tav Dhyaan,Om Jai Surya Bhagwan॥
॥ Om Jai Surya Bhagwan ॥
Saarathi Arun Hai Prabhu Tum,Shwet Kamal Dhaari.Tum Chaar Bhujadhaari।
Ashwa Hain Saath Tumhare,Koti Kiran Pasaare.Tum Ho Dev Mahaan॥
॥ Om Jai Surya Bhagwan ॥
Ushaakaal Mein Jab Tum,Udayachal Aate.Sab Tab Darshan Paate।
Phailaate Ujiyaara,Jaagta Tab Jag Saara.Kare Sab Tab Gunagaan॥
॥ Om Jai Surya Bhagwan ॥
Sandhya Mein Bhuvaneshwar Astachal Jaate.Godhan Tab Ghar Aate।
Godhooli Bela Mein,Har Ghar Har Aangan Mein.Ho Tab Mahima Gaan॥
॥ Om Jai Surya Bhagwan ॥
Dev Danuj Nar Naari,Rishi Muni Var Bhajate.Aaditya Hriday Japate।
Stotra Ye Mangalkaari,Iski Hai Rachna Nyaari.De Nav Jeevandan॥
॥ Om Jai Surya Bhagwan ॥
Tum Ho Trikaal Rachiyata,Tum Jag Ke Aadhaar.Mahima Tav Aparampaar।
Praanon Ka Sinchan Karte,Bhakton Ko Apne Dete.Bal Buddhi Aur Gyaan॥
॥ Om Jai Surya Bhagwan ॥
Bhoochar Jalchar Khechar,Sabke Ho Praan Tumhi.Sab Jeevon Ke Praan Tumhi।
Ved Puraan Bakhaane,Dharm Sabhi Tumhein Maane.Tum Hi Sarv Shaktimaan॥
॥ Om Jai Surya Bhagwan ॥
Poojan Karti Dishaayen,Pooje Dash Dikpaal.Tum Bhuvanon Ke Pratipaal।
Rituyen Tumhaari Daasi,Tum Shaashwat Avinaashi.Shubhkaari Anshumaan॥
॥ Om Jai Surya Bhagwan ॥
Om Jai Surya Bhagwan,Jai Ho Dinkar Bhagwan।
Jagat Ke Netra Swaroopa,Tum Ho Trigun Swaroopa।
Dharat Sab Hi Tav Dhyaan,Om Jai Surya Bhagwan॥

